|
Question: |
Aslam o alaikm
Thanx 4 givng ans.
Matlb is tarha ki dua mangne par mujhe gunah hoga
|
|
asked by
Aleena
from
IND
on
2/5/2012 4:25:09 AM |
|
|
Answer: |
aap par jo fraiz hain aap wo adaa kiya karain ajar denay wala ALLAH hay.
|
|
|
|
Question: |
Salam
mjhe ye btye kya qayamat me hame shauher milta h ya hum jise dil se chahte h wo milta h qk mjhe lagta h k my us ladke ko kbi nhi bhol paongi aur dil 2 be ikhtiyar h na kya mjhe iska gunah hoga my ye dua karti hn k wo mjhe jannat me miljye kya mjhe gunah hoga
|
|
asked by
Aleena
from
IND
on
2/4/2012 10:18:09 AM |
|
|
Answer: |
Naik mardon ko jannat main hoorain millain gee. Naik aurton ko jannat main Ghilman millain gai.
awara mardon ko dozakh main churailan millain gee.
Ghalat sochnay wali aurton ko wahan poond millain gai.
soch lain.
|
|
|
|
Question: |
Aslam o alaikm
sir mjhe 1 ldka pasnd h par uski shadi hogyi uske bad se my had se zyada deprsd ho aur bimar rehti ho my kch galat sochna nhi chahti par mere dil me har waqt ye khyak ate hk us k divorce hjye my aisa schna nahi chahti lykn phr b. Kya aisa schne par b gunah hoga jbk my kuch karti nahi
|
|
asked by
Aleena
from
IND
on
2/4/2012 7:30:46 AM |
|
|
Answer: |
aap apna zehn saaf rakha karain achi achi books parha karain aur namak bhi kum kar lain aap ko iss tarah ke khiyal ana band ho jain gai
|
|
|
|
Question: |
2-hind me hindo ka ek festival basand hai usma patang uadi jati hai isma farrukhabad ka muslem bhi patang uadita hai aur isma gana bajana hota hai kay ya sahi hai
|
|
asked by
zeeshan khan
from
IND
on
2/4/2012 2:47:51 AM |
|
|
Answer: |
patang urana as a tafreeh koi bat nahi lakin iss per shart ya jua khelna , firing karna ya iss ko mazhbi rang dena sahi nahi. Pakistan main kite festival se bhot se bachon ki mout waqia ho chuki hay jis ki wajha se basant mananay per pabundi hay, basant hindu tehwaar hay musalmano ko hindu tehwar nahi manana chahiey
|
|
|
|
Question: |
As salam-mo-alikom mufti sahib mera naam Mohammad zeeshan hai may India U.P Farrukhabad sa hoo mera 2 question hai is ka jabab urdu me iska fatba mohar ka sath mail karna.
1-shaba-e-aashura ke raat ko mahalla me road per kuran khani imaam Husan ka naam per kuran khani karata hai aua sajavat karata hai kaya ya sahai hai .kuch logo na kaha ya galat hai iaka jabab da.
ISKA JABAB JALDI DA
|
|
asked by
zeeshan khan
from
IND
on
2/4/2012 2:46:04 AM |
|
|
Answer: |
Zeeshan Sb . pehli baat ke main molvi nahi hoon aik clean shave person hoon lakin seeda saada musalman hoon lehaza mere kisi jawab ko kaheen per bhi as a refrence nahi dijiay ga.
aap ke dono sawalat ke jawab aik he hay ke iss tarah ke kaam ISLAM main kisi tor par bhi jaaiz nahi. gana bajana ho ya koi bhi lughw kaam.
|
|
|
|
Question: |
Asslam o alaikum
kya ye sach hai k pehli mohabbat kabi nahi bholti aur real love aur attractn me difrnce kya h
|
|
asked by
Aleena
from
IND
on
2/3/2012 12:15:17 PM |
|
|
Answer: |
walaikumsalam. jo muhabat maa baap behn bahi ki muhabat par ghaalib aajai wo muhabat bilkul jooth hoti hay. ab loug real love ko nahi dekhtay attraction ke peechay baghtay hain.
aur bhi dukh hain zamnay main muhabbat ke siwaa
|
|
|
|
Question: |
Sir agar ladki rishte k lye dil se razi na ho aur parent zabardasti karahe ho to use kya karna chaiye,islam me 2 ladki kn haq h na apni pasand se shadi karne ka,aur shadi na hone par agar khud parent tont kare 2 ladki kya kare
|
|
asked by
Zooni
from
IND
on
2/3/2012 4:31:23 AM |
|
|
Answer: |
larkiyon ki marzi ke khilaaf zabardasti karna islam se pehlay wali jahaliyet ko duhraney wali baat hay Islam kabhi iss baat ki ijazit nahi deta ke larki ki marzi ke khilaaf uss ki shaadi kaheen aur kar di jai. parents apnay bachon ko itnay close aur frank nahi rakhtay ke wo apney dil ki baat parents ko bata sakain balkay wo apni dil ki baatain kisi aur se share kartay hain jo bilkul ghalat hay isi liay waldain aur bachon main doori ka ruhjaan barhta jaa raha hay
|
|
|
|
Question: |
Asslamoalaikum sir ye 2 myne b suna h k jode asman par bante h lykn kai bar hamari han ya na par depend karta h k rishta hoga ya nahi, aur agar situation aisi ho aur ladki ko uske parent presurize karahe ho jab ke ladki razi nahi h parent khrhe h k khushnasibi bar bar darwaze par dastak nahi deti etc,To is sari situatn me ladki ki han ya na par shadi depend karti h 2 is me taqdir kya sir plz tafsili answer dijye k is bare me islam me kya hai
|
|
asked by
Zooni
from
IND
on
2/3/2012 4:24:39 AM |
|
|
Answer: |
jo taqdeer main likha hota hay zehn ussi tarf raghib ho jata hay jesey agar larki haan karti hay aur shaadi ho jaati hay tu ye he likha tha. kai baar aisa bhi hua hay ke nikaah honey ke baad rukhsati ke waqt dono ka inteqal ho gia...... aap taqdeer par behs na karain iss se mazeed uljhtay jain gai.
|
|
|
|
Question: |
Asslamoalaikum My ye janna chahti hon k kya shadi taqdir me hoti hai ya hamare hath me kya allah taala pehle se tai kar deta h k hamari shadi kis hogi ya ye hamari choice hai k hum jise choose karenge us se hojyngi plz jaldi ans djye
|
|
asked by
Zooni
from
IND
on
2/2/2012 1:02:36 AM |
|
|
Answer: |
maa ke pait main jab bacha tqreeban 5 months ka ho jata hay tu bachay ki zindagi se le ker mout tak her qisam ka plan likh kar save kar diya jata hay ab uss plan main edit her saal 15 sha'aban ko hoti hay. aur is per her musalman eemaan bhi lata hay . emaan main mufassal parha ho ga aap ne ? siyanay kaha kartay hain joray tu aasmaano pe bantay hain.
|
|
|
|
Question: |
mane pucha tha k ek sath kr sakty han?ma alag alag krna nai chah rai hu.chati hu ek he din ma do kisam k wazifa karu..(kia ek sath kr skty ha?)
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/29/2012 3:04:26 PM |
|
|
Answer: |
jee wesa bhi kar saktay hain
|
|
|
|
Question: |
mjhe ye jana ha ka kia hum at a time 2 wazife ek sath kr sakty han?jase ek alag wazifa hum rat ko karen,aur dusra esha k bad.ya phele ek amal c0mplete hujaene ka bad dusra karen.rep me soon
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/29/2012 10:35:26 AM |
|
|
Answer: |
aap alag alag wazifa bhi kar saktay hain
|
|
|
|
Question: |
mjhe ye puchna tha k agar hum koi wazifa shuru karen aur hume drmyan ma ay ame haiz ka wakfa ajae.tou kia hum pak hune k bad silsila jari rkhynge ya dubra nye sire se shuru krna hoga.?
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/20/2012 6:46:17 AM |
|
|
Answer: |
Quran paak ko hath lagai baghair aap wazifa jaari rakh saktey hain.
baawoozu wazifa karna afzal hay.
|
|
|
|
Question: |
ap please koi asi website btaen jo suni maslak ho,plz.m in so much porblem!! Apki mehrbni huge,ap btaen koi website.tc
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/18/2012 1:59:29 PM |
|
|
Answer: |
google per aap ko bhot saari websites mil sakti hain. lakin unn websites per koi sawal jawab ka silsila nahi hai.
|
|
|
|
Question: |
mane ye poochna hy k agar koi apna masla fiqhe jafriya ke mutabik hal kare,unke wazife ya dua wagera pe tou kia ye galat hy?agar koi galti se unse apna masla pooch le aur use bad ma pata lage k ye tou shia feautres k mutabik hy,par usne amal abtk na kia ho tou kia iska gunah huga?m w8ng plzzz rep soon
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/18/2012 11:40:36 AM |
|
|
Answer: |
Apney maslay aap kisi se bhi discuss kar saktay hain lakin ye zaroori nahi ke un ki advice ya wazifa per aap amal bhi karain . koi gunaah nahi. wesey aap ka masla kia hay? dunia main siwai mout ke her maslay ka hal hay.
aap suni hain tu aap ko suni maslak ke mutaabiq he wazaif kiya karain
|
|
|
|
Question: |
salam ji.actually ap har sawl ka jawab dete hyn jesa k apne kaha romantic,islamic,funny etc..mujhy ye bataen kay ek rasam huti hay k ladki k hatho ma mehndipar mehndi ka design bnate hayn aur uske partner ka naam chpatey hain koi jise use dhoondna huta hay.mujhy samjh nahi arha hy k wo kese karty hayn?alag se likh kar agy pechy design bnate hayn ya desighn bante huey direct likh dete hy??plzzzz jise bhi ata ho btaye
|
|
asked by
mahnoor
from
PAKISTAN
on
1/11/2012 3:26:16 PM |
|
|
Answer: |
dunia main mehndi ya hina ki mukhtalif rasmain hain unn main se he aik ye bhi hay ab ye tu design bananay walay par hay ke wo pehlay name likhta hay ya pehlay design banata hay hamaray haan dulhan ke haathon par khubsoorat se design bana detey hain baqi ALLAH ALLAH khair salah.
|
|
|
|
Question: |
salam.kala jaddo karwane wala islam se khaarij hujata hay.lekin agar jo dusrey amaliyat safli aur ilm wagera krwaye koi tou kia in sab ma bhi insan islam se kharij hujata hy?kala jaddo aur dusri amliyat ya padhai mai kia fark hay?
|
|
asked by
Aisha khan
from
KSA
on
1/10/2012 1:01:13 PM |
|
|
Answer: |
kala jadoo ho ya safaid jadoo ho her qisam ke ultay amal jis se insano ko takleef ponchey un ko seekhna ya seekh kar kisi ko takleef dena pareshaan karna kufer karnay ke mutaradaf hay.aur ye ALLAH ke nizaam main dakhal andazi main ata jissey ALLAH subhan o taala sakhat na pasand karta hay.
Wallah hoo aalim
|
|
|
|
Question: |
salam.thanx sir..par mera wo kam hua nahi hai.me bs misal dyrhi the..bs mjhe ye btadyn k ksi b lehaz se mjhe gunah tou na huga na?agar wo kam ma pura na bhe kr paun tou.apka mehrbni h0gi.apki web bht achi ha.bohat naik kam krhy han.JazakALLAH.
|
|
asked by
aisha khan
from
KSA
on
1/9/2012 12:40:33 PM |
|
|
Answer: |
Agar aap ke dil main khilish hay tu aap kufara ada kar den . baat baat pe qasam na khaya karain.
|
|
|
|
Question: |
salam sir bat puchni hay.ye k agr koi apne imaan ki ksam khaye kisi se k"mujhy mre eman ki ksam kay ma falan kaam falan wkt pe kardugi,or itefak se wo kam phle hi hujae,tou ksam wasul hujati hna?ye lazim tou nahi k jo wakt btaya tha agr usi wakt pe huti tou kasam puri hogi.?ksam to ksam hay bas kaam pura huna chaye.hna?mujhy buhat parishani hy ajeb khyalat arhy hyn kay Allah na kare ke kafiro man shamil hujaoun
|
|
asked by
Aisha khan
from
KSA
on
1/8/2012 4:23:50 PM |
|
|
Answer: |
emaan ki qasam nahi hoti .. qasam ka matlab gawaah banana hota hay jesey ALLAH ki qasam ka matlab ALLAH ko gawah banana iss tarah aap ke imaan wali qasam qasam ke zumrey main nahi aatee . wesey bhi wo kaam waqt se pehley he ho chuka tha lehaza aap ke imaan wali qasam ki ab koi wuqqat nahi rahi.. wallah hoo aalim
|
|
|
|
Question: |
Learning a ton from these neat aritlces.
|
|
asked by
Livia
from
PAKISTAN
on
12/10/2011 7:05:14 AM |
|
|
Answer: |
Let me know what you learn from neat aritlces?
|
|
|
|
Question: |
mai ney pehle bar ye site use ki ha please reply zaroor dejeye ga but mere id pa email kar k please please mai jis sey pyaar karta ho us ki shadi ho gaye abhi 3 days pehley ab mai karna chata ho late ho geya kuch wajha thi wo bhi karna chati ha ab bataien kia kia jaye?
|
|
asked by
ALi
from
PAKISTAN
on
11/28/2011 8:47:05 AM |
|
|
Answer: |
Ali sab se pehlay tu ye jaan lain ke aap ka mail address display nahi hota sirf aap ka name display hota hay .. 2nd ab agar uss larki ki shaadi ho gai hay tu aap uss ke liay best wishes aur dil se duaa karain ye he muhabat ka taqaza hay jism ko pana muhabat nahi khud ghurzi hoti hay uss ke sukh aur khushi ke liay duaa aur naik khowashain rakhain
|
|
|
|